Nabi ï·º ne farmaya:
Imaan ki 60 se kuch upar shakhen hain,
Aur haya (sharm) bhi imaan ki ek shaakh hai.
Sahih Bukhari hadees no 9.
Ye hadees islaam ke buniyadi Aqide aur akhlaq ko samajhne ke liye bohot zaruri hai.
Is hadees ye ye pata chalta hai ke imaan ka dayra kaafi bada hai, jo sirf Aqide aur ibadat tak medood nahi hai, bake akhlaq aur maashre me zindagi jine ka hunar bhi sikhata hai.
Imaan ki shakhen.
Is hadees me imaan ki 60 se zyada shakhon ka zikr hai, ulema ke nazdeek ye shakhen imaan ke bohot se pehluo ki taraf ishara karti hai.
1. Allah ï·» aur uske rasool ï·º par yaqeen sabse unchi shaakh hai, is shaakh ka matlab hai ke Allah ï·» ki wahdaniyat aur uske nabi ï·º ki risalat par yaqeen karna.
2. Ibadat aur Amal, jaise namaz , roza hajj, zakaat, ye bhi imaan ki shakhen hi hoti hai.
3. Haya.
Haya ( Sharm) ko ek khaas shaakh ke taur par zikr kiya gaya hai, kyu ke haya ek momin ki shaan hoti hai.
Haya ka muqaam islaam me bohot buland hai, is hadees se pata chalta hai ke haya sirf ek akhlaq nahi hai, balke ye to imaan ka hissa hai, haya sirf jism ke azah ke zariye se jo ki jaye yahi tak mehdood nahi hai, balke dil aur niyat ka paak saaf hona bhi gaya hai.
Nabi ï·º ne ek aur hadees me farmaya hai: haya aur imaan dono ek saath hote hai. Agar ek uth Jaye to dusra bhi uth jata hai.
Mustadrak Al-hakim hadees no. 58
Is hadees se ye pata chalta hai ke jiske paas haya nahi hoti uska imaan mukammal nahi, balke adhura imaan hai,
Haya ka Talluk 3 chizo se hai.
1. Allah se haya, yani har kaam karte waqt ye dhyan rakhna ke Allah dekh raha hai.
2. Logo se haya. Yani Be-Hayai aur besharmi se bacha jaye. Be-Hayai ka matalab hai ke Mehran aur gair-mehram ke beech me tameez ka na hona.
3. Aise kamo se bacha jaye, jo insaan ki izzat ko gira dete ho.
Note:
Is hadees se pata chalta hai ke imaan ek mukammal nizaam hai imaan sirf Aqide tak mehdood nahi hai. Balke insaan ke Akhlaaq aur Zindagi ke tarike bhi shamil hai,
Haya ka Talluk sirf sharm aur libaas tak simit nahi hai, balke Allah aur uske Deen ki pakizgi ki dalil hai,
Momin ke liye zaroori hai ke wo apne har kaam me haya ( sharm ) ka paband ho.
Kyu ke ye imaan ki bohot hi zyada zaruri Shaakh hai, jiske na hone se imaan mukammal nahi rahta.