Iman Ki Takmeel: Nabi ﷺ Ki Mohabbat Ki Ahmiyat Quran o hadees Se

Beshak nabi ﷺ ne farmaya: 

Kasam hai us zaat ki jiske kabze me meri jaan hai, tum mese koi bhi imandar na hoga jab tak me uske Walid aur aulad se bhi zyada uska mehboob me na ban jaun.

Sahih Bukhari 14 /15



Is hadees ko hum details me samajhne ki koshish karte hai.

Quran me Allah ﷻ ne farmaya: AAP ﷺ keh dijiye ke tumhare baap, tumhari aulad, tumhare bhai, aur tumhari biwiyan, tumhare kabile, aur tumhari kamai hui daulat, ur wo tijarat jiski kami se tum darte ho, aur wo haweliyan jinhe tum pasand karte ho, ye sab agar tumhe Allah ﷻ se aur rasool ﷺ se aur iske raste me jihad se bhi zyada azeez hai, to tum intizar karo ke Allah ﷻ tum par azaab le aaye.

Surah tauba 24.

Is ayat me Allah ﷻ ne Wazeh kar diya hai ke Tumhara iman tabhi mukammal hoga, jab Allah aur uske rasool ﷺ ki mohabbat tumhare dilon me har chiz se zyada ho, yani Allah aur uske rasool ﷺ se badhkar, aur Allah ﷻ ke aur nabi ﷺ ke farman se badhkar musalmano ke liye duniya ki koi cheez nahi honi chahiye.


Jab insan apne Walid, aulad, ya kisi bhi rishte se badhkar nabi ﷺ se mohabbat karega to uski zindagi me hakiki iman aa jayga, aur ye mohabbat Amal ke zariye Zahir honi chahiye, 

Yani insan ki sari zindagi aur uske faise aur uski zindagi ka har pehlu har hissa nabi ﷺ ki talimaat aur sunnat se shuru hokar sunnat pe khatm hona chahiye.


Note:

 is hadees se hame ye sikhne ki koshish karni chahiye, ke hum apne nabi ﷺ ki mohabbat me, is kadar shiddat rakhe ke wo har rishta, har mohabbat, har chiz se ziyada ho, aur is mohabbat ka izhar sirf alfaz se na ho, balke amal se bhi hona chahiye, take hamara iman pura ur mokammal ho.



Post a Comment (0)
Previous Post Next Post