Nabi ﷺ ne farmaya:
3 khaslate aisi hai jisme ye paida ho jaye usne iman ki mithas ko pa liya,
1. Ye ke Allah ﷻ aur uske rasool ﷺ uske nazdik sabse zyada mehboob ban jaye,
2. Ye ke wo kisi bhi insan se sirf Allah ﷻ ki Raza ke liye mohabbat kare,
3. Ye ke wo kufr me wapas lautne ko aisa bura samjhe jaisa wo aag me Dale Jane ko bura samajhta hai.
Sahih Bukhari 16.
Is hadees me 3 farman hai, to hum is hadees ko 3 hisso me hi samajhne ki koshish karte hai.
1. Allah ﷻ aur uske rasool ﷺ sabse zyada mehboob hon.
Iman ki asal jadh ye hai ke insan Allah aur uske rasool ﷺ se shadeed aur sabse zyada mohabbat kare, aur ye mohabbat har dusri mohabbat par galib ho jaye.
Jaisa ke hum isse pehle ki hadees me bata chuke hai. Nabi ﷺ ne farmaya: tum mese koi shaks momin nahi ho sakta jub tak me uske Walid ausli aulad aur tamam logo me sabse zyada mehboob na ho jaun,
Sahih Bukhari 14/15
Quran me Allah ﷻ ne farmaya:
Keh do, agar tumhare baap, tumhare bete, tumhare bhai, tumhari biwiyan, tumhare rishtedar, woh maal jo tumne kamaye, woh tijarat jis ke nuqsaan ka tumhe khauf hai, aur woh ghar jo tumhe pasand hain, tumhe Allah aur uske Rasool aur uski rah me jihad se zyada azeez hain, to intezar karo yahan tak ke Allah apna azaab tum par le aaye
Surah tauba 24
Ye ayat is bat ko sabit karti hai ke nabi ﷺ ki mohabbat har insan ke liye saari dunia ki mohabbato par havi honi chahiye.
2. ALLAH ﷻ Ki Raza ke liye Mohabbat.
Ye iman ka ek izhaar hai ke insan kisi se bhi mohabbat kare to sirf Allah ki Raza ke liye kare,
Nabi ﷺ ne farmaya: jo shaks Allah ke liye Mohabbat kare, Allah ke liye Nafrat kare, Allah ke liye De, aur Allah ke Liye Na De, to Uska iman mukammal ho gaya.
Abu Dawood 4681.
Aur Quran me Allah ﷻ ne farmaya: beshak iman wale wo hai jo ek dusre se Mohabbat karte hai aur Allah ﷻ ki Raah me kharch karte hai,
Surah Al-Hashr 9
In dalilo se ye pata chalta hai Ke Dosti Aur Dushmani sirf Deen Ki buniyad par ho, insan Dusro se mohabbat me ikhlas paida kare, aur duniavi garz se bachte hue sirf Allah ki Raza ke liye mohabbat aur nafrat kare.
3. Qufr ki taraf Lautna Bura Jane.
Isman ki mithas Tabhi hasil ho sakti hai jub qufr aur shirk ko sakht nafrat pasand kiya jaye, yahan tak ke insan qufr se behtar Aaag me jalne ko samjhe.
Nabi ﷺ ne farmaya: jo shaks LA ILAHA ILLALLAH keh kar qufr aur shirk ko Rad kare, wo jannat me dakhil ho jayga,
Sahih Muslim 93.
Quran me Allah ﷻ ne farmaya: jo log iman lane ke bad qurf kare aur fir qurf me badhte jaye unki tauba kabhi qubul na hogi.
Surah Al-imran 90
In dalilo se pata chalta hai ke iman ko har hal me mazbuti rakhna chahiye, kufr aur gunaho se bachne ki har mumkin koshish karni chahiye, apne Imaan aur apne Aqide ko bachane ke liye har mushkil bardasht karni chahiye.
NOTE:
Is hadees se hame ye sikhne ko milt hai ke iman ki mithas Tabhi hasil ho sakti hai,
Allah ﷻ aur uske rasool ﷺ se sabse zyada mohabbat ho, Allah ki Raza ke liye hi mohabbat aur nafrat ki jaye,
Qurf aur Gunaho se sakht nafrat ki jaye,
Iman ko mazboot karne ke liye zaroori hai ke hum apne har Amal ko quran aur sunnat ke mutabik karne ki puri koshish kare, aur apni zindagi ke har pehli me Allah ﷻ aur uske rasool ﷺ ko sabse upar rakhe aur unhi ko tarjih den.