Nabi ﷺ ne farmaya:
Tum me se koi shaks imaan-daar na hoga, jub tak apne bhai ke liye wo na chahe jo apne liye chahta hai.
Sahih Bukhari hadees no 13
Is hadees ko quran aur sunnat ke zariye samajhne ki koshish karte hai.
1. Iman.
Is hadees me iman ke bare me ye bataya gaya hai ke iman ka ek pehlu ye hai ke insan apne musalman bhai ke liye wo chahe jo apne liye chahta hai, chahe wo doulat ho, shohart ho, izzat ho, ya jannat ho.
Iska matlab ye hai ke haqikat me iman tab mukammal hoga jub wo dusre musalmano ke liye khair aur bhalai usi tarah chahega jis tarah wo apne liye chahta hai.
Allah ﷻ ne farmaya: momin to apas me bhai bhai hai. Pas apas me sulah Kara do, aur Allah se darte raha karo,
Dusri jagah Allah ﷻ ne farmaya: musalman khud ko ek dusre par tarjih dete hai, khwab wo khud tangi me ho.
Is ayat se ye pata chalta hai ke musalman apne bhai ki khidmat ko apni khudgarzi samjhe, aur is amal ko apne iman ka hissa samjhe.
2. Mohabbat.
Is hadees ka asal maksad ye hai ke musalmano ke bich apas me mohabbat kayam ho, aur ek dusre ke liye bhalai ki khwahish paida ho.
Nabi ﷺ ki zindagi iski ek aisi misaal hai jo dunia me kahi or nahi mil sakti, AAP ﷺ ne apne ummatiyo ke liye hamesha falah aur khair ka hi socha aur unke liye hamesha dua, aur koshish ki.
Ek hadees me nabi ﷺ ne farmaya: musalman musalman ka bhai hai, na us par zulm kare, aur na zulm hone de.
Sahih Bukhari 2442.
Is hadees se ye malum hua ke har musalman ki ye zimmedari hai ke wo apne musalman bhai ki har tarah se madad kare, aur uske bare me galat ya bura karna to door soche bhi na.
Ikhtilaf ka Hal.
Agar har musalman is hadees ke pehlu ko samajh kar us par amal kare, to muashre me mohabbat aur bhai-chare ka mahol banega.
Jo bhi ikhtilafat muashre me paida hote hai, uska sabab aksar khudgarzi aur dusro ki zarurato ko nazarandaz karna hota hai.
Agar is Hadees par amal kiya jaye to yaqinan har musalman kisi ki zarurat ko na nazarnadaz karega, aur na hi khudgarz banega, aur mohabbat ki masalen paida hoti rahengi. Jis tarah sahaba رضي ki misalen di jati hai.
Note:
Is hadees ka talluk sirf zubani ikrar nse nahi, balke ek amali tarike se hai, hakikat me iman ka matlab namaz roza hajj zakat nahi, balke Allah ke bando ke liye khair, mohabbat aur insaf ka jazba bhi hona chahiye aur jazba sirf naam ka nahi amal ka jazba, jazba agar hai to amal se Zahir ho.
Har musalman agar apne liye chahi gai achai ko apne dusre musalman bhaiyo ke liye bhi chahne Lage, to musalman ummat puri dunia me ek jaan ban jaygi.
Allah ﷻ ham sabko amal ki taufiq naseeb kare.ameen.