Hadith 18 Sahih Bukhari: Tauheed, Zina, Chori aur Gunaho ki Maafi ka Bayan

 Hazrat ubaida bin samit رضي الله أن jo badar ki ladai me sharik the, farmate hai ke nabi ï·º ne us waqt jub apke ghar sahaba رضي الله أن ki ek jamat baithi hui thi farmaya ke mujhse bait karo, 

1. Allah ï·» ke sath kisi ko Sharik nahi karoge.

2.chori nahi karoge.

3. Zina nahi karoge.

4.Apni aulad ka qatal nahi karoge.

5.Jhuta ilzam nahi lagaoge.

6. Kisi bhi achi bat me Allah ï·» ki na-farmani nahi karoge.

Nabi ï·º ne farmaya: jo koi in usoolo ko pura karega uska Ajar Allah ï·» ke zimme hai.

Jo gunah karega aur dunia me use shariyat ke mutabik saza milegi to wo saza uske gunaho ka kaffara hogi.

Aur agar gunah Chhup jaye, to uska muamla Allah ke hawale hai, Allah chahe to maaf kare, aur chahe to saza de.

Sahih Bukhari hadees no 18.

1. Allah ï·» ke sath kisi ko sharik na karna.

Tauhid Islam ki buniyad hai, Allah ï·» ne farmaya: Allah shirk ko kabhi maaf nahi karega iske siwa jo chahega wo maaf kar dega.

Surah nisa- 48

Nabi ï·º ne farmaya: sabse bada gunah ye hai ke tum Allah ï·» ke sath kisi ko sharik karo.

Sahih Bukhari 2654


2. Chori na karna.

Chori ki mazammat aur saza, Allah ï·» ne farmaya: chor mard aur chor aurat ke hath kaat do, ye unke kiye ka badla hai.

Surah maida 38

Nabi ï·º ne farmaya: agar Fatima bin-te-mohammad bhi chori kare to me uske bhi hath kaat dunga.

Sahih Bukhari 3475


3. Zina se bachna.

Zina ki haramiyat aur iske kareeb na jane ki nasihat, Allah ï·» ne farmaya: zina ke karib bhi na jao ye Be-Hayai aur bura rasta hai.

Surah bani isra'il 32

Hazrat Abu huraira رضي الله أن se riwayat hai, ke nabi ﷺ ne farmaya: Allah ne har insan ke liye ek hissa likh diya hai jo wo zina me payga, ankho ka zinah dekhna hai, zuban ka zina bolna hai, aur dil Tamanna karta hai, sharmgah uski tasdiq karti hai.

Musnad ahmad 7705


4. Aulad ko qatal na karna.

Aulad ki qatal ki sakht manahi, Allah ï·» ne farmaya: Apni aulad ko maal ki fikr me qatal na karo, hum unhe bhi rizq dete hai aur tumhe bhi rizq dete hai.

Surah an'aam 151


5. Jhuta ilzam na lagana.

Tohmat lagane ki sakht saza, Allah ï·» ne farmaya: jo log paak daman aurto par ilzaam lagate hai, aur 4 gawah na la paye, to unke 80 kodhe maaro.

Surah Noor 4.


6. Achi bato me na-farmani.

Allah aur uske rasool ï·º ki itaat zaruri hai, Allah ï·» ne farmaya: aiye iman walo Allah aur uske rasool ï·º ki itaat karo.

Surah nisa 59.

Nabi ï·º ne farmaya: har musalman ki zimmedari hai ke Harqal acche kaam me Itaat kare.

Sahih Bukhari 2957


Note:

Ye hadees ek jaame hidayat pesh karti hai, jo ek momin ke liye zindagi jine ka behtreen tarika batati hai, is Hadees me imaan aur ache Nek amal par zor diya gaya hai, aur Gunaho se bacha kar Allah ki Raza hasil karne ka tarika bataya gaya hai.

Jo in usoolo par amal karega uska Ajar Allah ï·» ke zimme hai, 

Gunaho ki saza aur Allah ï·» ka zikr insan ko ummid aur Allah ke darr ke darmiya rakhta hai, 

Yahi ek momin ki khubsurti hai.

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post