Nikah Ka Sunnat Tareeqa: Quran Aur Hadith Ki Roshni Mein

 Nikah Ka Sunnat Tariqa

Islam me nikah ek ibadat bhi hai, aur shohar biwi ke darmiyan mohbbat,  rahmat aur sukun ka zariya bhi hai. Nikah ka matlab sirf nasl-e-insani ko badhana nahi, balke ek pakiza akhlaqi muashre ko banana bhi hai, quran aur sunnat me nikah ko bohot asan banaya hai. 

Nikah ki fazilat.

Allah ï·» ne farmaya: aur Uski nishaniyo me se ye bhi hai ke usne tumhare liye tumhi me se biwiyan Paida ki take tum un se sukoon hasil karo aur tumhare darmiyan mohabbat aur rehmat paida ki jaye.

Surah room 21

Allah ï·» ne farmaya: aur apne gair shadi shuda afrad aur apne nek gulam aur laundiyon ka nikah kardo.

Surah Noor 32

Sadgi se nikah.

Nabi ï·º ne farmaya: behtreen nikah wo hai jisme sabse kam kharch ho.

BAYHAQI- 6566

Nabi ï·º ne farmaya: walima karo khwahish ek bakri hi ke sath kyu na ho.

Sahih Bukhari 2048


Mezbani:

 Nikah ke aghaaz me khutba masnoon hai, jisme Allah ï·» ki hamd-o-sana quran ki tilawat aur nabi ï·º ke akela padhe jate hai, khutbe me Aam taur par ye ayte padhi jati hai.

Aiye logo Allah se daro jisne tumhe ek jaan se paida kiya hai.

Surah nisa- 1

Allah se daro jaisa ke usse darne ka haq hai aur marna to sirf musalman hi marna.

Surah Al-imran 102

Aiye iman walo Allah se daro aur sidhi bat karo take tum par raham kiya jaye.

Surah ahzab 70.71


Nikah ke gawah: 

Nabi ï·º ne farmaya: nikah wali aur 2 gawaho ke bagair nahi hota.

Ibn majah 1880

Mehar:

Behtreen mehar wo hai jo sabse Asaan ho.

Abu Dawood 2117

Nikah me sadgi:

Nabi ï·º ne farmaya: sadgi iman ka hissa hai.

Abu Dawood 4161

Nikah ke waqt barkat ki dua: 

Nabi ï·º ne ye dua di: Allah tumhe barkat de, tum par barkat nazil kare, aur tum dono ko bhalai me jama kare.

Abu Dawood 2130


Note:

Nikah Islam me ek mubarak aur sham amal hai, jise sadgi aur shariyat ke usoolo ke mutabik anjaam dena chahiye, fizul kharch aur gair zaruri rasmo se bachna chahiye, nikah ko barkat aur mohabbat ka zariya banane ki koshish karni chahiye, hame nikah ke moke par khane ki dawat Dene ki koi dalil nahi mili, aur aulema ke nazdeek bhi iski koi dalil nahi hai. 

Lekin agar kisi ke paas maal zyada hai aur wo chahta hai nikah ke moke par khane ka intizam kare. To usko chahiye ke ghareebo aur miskino ko khane ki dawat de. Jisse nikah ko aur barkat wala banaya ja sake. 

Walima quran or sunnat ke mutabik.

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post