Islam Me Behtareen Musalman Kaun? | Sahih Bukhari Hadees 11 Ki Tafseel

 Logo ne pucha ya RasoolAllah ï·º konsa Islam Afzal hai?

To nabi ï·º ne farmaya: wo jiske manne wale musalmano ki zuban aur hath se saare Musalman salamati me rahe.

Sahih Bukhari hadees no 11

Is hadees me nabi ï·º se sawal pucha Gaya hai ke konsa Islam sabse afzal hai? 

Ap ï·º ne farmaya: wo jiske manne wale musalmano ki zuban aur hath se saare Musalman salamati me rahe.


Is hadees se pata chalta hai ke Islam ki talim me Aman or salamati ki bohot ahmiyat hai.

Islam ka matlab hi Aman, aur Salamati hai. Ye Deen sari insaniyat ke liye rehmat aur sukoon ka paigam hai, Islam ke behtareen hone ki buniyad is bat par rakhi gai hai ke ek musalman dusre musalmano ke liye salamati ka zariya bane. 


Quran me Allah ï·» ne farmaya: momin apas me bhai bhai hai, pas apne bhaiyo ke darmiyan sulah karo aur Allah se daro take tum par raham kiya jaye. 

Surah hujurat 10

Is ayat se saaf pata chalta hai ke Islam bhai-chare aur Aman ka paigam deta hai.


Dusri jagah Allah ne farmaya: neki karo Beshak Allah neki karne walo se mohabbat karta hai.

Surah Al-Baqarah 195

Is ayat se pata chalta hai ke neki ka matlab sirf ibadat tak mehdood nahi hai balke dusri ko taklif se bacha bhi neki hai.


Zuban aur Hath:

Zuban: se nikli hui bate dusro ko sabse zyada mutassir karti hai, kisi ko gali dena, jhut bolna, chugli, ghibat karna, ye zuban ke gunah hai, jo muashre me bigaad ka sabab bante hai, 

Hath: se Murad kisi ko jismani nuksan pohchana, ya zulm zyadti karna.


Quran me Allah ne farmaya: Allah tumhe Huqm deta hai ke Amanate unke haqdaro tak pohcha do, aur jub logo ke darmiyan faisla karo to insaaf ke sath karo. 

Surah nisa:58

Is ayat se pata chalta hai ke Allah ne hukum farmaya hai Insaaf ko kayam karo, aur logo ke unke haq ada karo, is ayat me dusro ke hukooq Ada karne ki talim hai. 


Dusri jagah Allah ï·» ne mazak udhane, aur kisi ka bura name rakhne, aur gibat karne se mana kiya gaya hai. 

Surah hujurat 11.12


Note: 

Is hadees me Islam ki aala darje ki talim di gai hai, jo dusro ke sath husn-e-sulook aur Aman salamati ka paigam deti hai, quran aur hadees me is chiz par bohot zor diya gaya hai ke, ek musalman ki hakiqi pehchan uska akhlaq, kirdaar aisa hona chahiye ke logo ko fayda pohchaye. Na ke nuksan.



Post a Comment (0)
Previous Post Next Post