Ek din ek admi ne nabi ï·º se puchha ke Konsa Islam behtar hai? Nabi ï·º ne farmaya: ye ke tum khana khilao, jisko pehchano usko bhi aur jisko na pehchano usko bhi, algarz sabko Salam karo.
Sahih Bukhari hadees no 12
Is hadees me nabi ï·º ne Islam ki sabse acchi khasiyat bayan ki hai, ye hadees musalmano ke liye ek bohot hi aham sabak rakhti hai, is hadees me 2 aisi khasiyat bayan ki gai hai jo Islami muashre ki buniyad hai, islami society ka naksha samne karti hai.
1.khana khilana.
Khana khilane ko nabi ï·º ne behtreen Islam ki alamat karar diya hai, kyu ke ye kam ahsas aur mohabbat paida karte hai, Islam ki talim hame dusro ka khyal rakhna sikhati hai,
Khana khilane ka amal kisi par ahsan karne ka zariya banta hai aur Allah ï·» is Amal ko bohot pasand karta hai,
Khana khilana sirf Apne karibi rishtedar, aur dosto tak mehdood nahi hai, balke yatimo, garibo, miskino, aur musafiron tak ko shamil karta hai.
Allah ï·» ne farmaya: aur wo Allah ki mohabbat me khana khilate hai miskino yatimo, aur khaidiyo ko.
Surah dahar 8
2. Sabko Salam karna.
Salam karna Islam ke adab me se ek aham adab hai.
Salam karne se mohabbat aur bhai-chara bhadta hai, salam sirf janne walo ko karne ka hukum nahi diya nabi ï·º ne, balke jisko jano usko bhi Salam karo or jisko na kano usko bhi Salam karo.
Salam karne se apsi duriyan khatm hoti hain aur apas me mohabbat badhti hai.
Nabi ï·º ne farmaya: tum Jannat me dakhil nahi ho sakte jub tak tum momin na ho jao, aur tum momin nahi ho sakte jub tak tum apas me ek dusre se mohabbat na karo, kya me tumhe Wo chiz na batau jsse tum apas me mohabbat karne lagi. Apas me Salam ko Aam karo.
Sahih Muslim 54
Is hadees se pata chalta hai ke Islam aisi talimaat deta hai jo apas me mohabbat ko badhaye,
Ek acha musalman wo hai jo apni nemato me dusro ko sharik kare, aur bhuko ko khana khilaye, aur mohabbat bhai-chara ko failane ke liye Salam ko Aam kare.
Note:
Islam hame ek aisa muashra Qayam karne ka hukm deta hai jaha mohabbat musawwat aur Aman ka bol bala ho, ye hadees Hume raste ki rehnumai karti hai ke hum apne kirdar aur akhlaq ke zariye behtar musalman ban sakte hai, aur dusro ke liye misal kayam kar sakte hai, Allah hame in talimaat par amal karne ki taufiq ata farmaye.