Nabi ï·º ne farmaya:
Ansaar se Mohabbat rakhna iman ki nishani hai, aur ansaar se qeena rakhna nifaq ki nishani hai.
Sahih Bukhari 17
Explanation:
Ansaar kon?
Ansaar madina ke wo musalman the jo hijrat ke bad Makkah ke musalmano ko apne gharo me jagah di, aur unka bohot acha khyal rakha, ansaar ka iman, qurbani, asar, aur mehman nawazi, Islam ki tarikh me ek Azeem misal hai.
Quran me Allah ne farmaya: aur wo log jo apne ghar aur iman me pehle hi send Jame hue hai, wo un logo se mohabbat karte hai jo hijrat karke unke pas aye hai, aur jo kuch unko diya gaya usse apne dilo me koi khalish mehsoos nahi karte, aur apni jaano par dusro ko tarjih dete hai, chahe wo khud mohtaj hon.
Surah Al-Hashr 9
Is ayat me Allah ï·» ne asariyo ki sakhawat, aur qurbani ka zikr kiya hai, ke wo log khud mohtaj hote hue bhi hijrat karke aye hue musalmano ko apne gharo me re akhte aur unki khidmat karte, unka khyal khud se behtar rakhte.
Allah ne farmaya: aur sabkat le jane wale pehle log, muhajir, aur ansaar, aur wo log jo unke naksh-e-kadam par chale, Allah unse Razi hua aur wo Allah se Razi hue.
Surah tauba 100
Is ayat se ye pata chalta hai ke Muhajir aur ansaar dono Allah ki Raza ke mustahiq hai.
Iman ki Alamat.
Ansaar se Mohabbat karne ka matlab hai ke Jo ansar se mohabbat karta hai uske dil me Allah aur uske rasool ï·º ki mohabbat hai, ansaar wo log hai jinho ne Islam ke liye bohot qurbaniya di hai, aur Allah ke Deen ko failane me ansaar ka khaas khirdar raha hai.
Nifaq ki Alamat.
Ansaar se bugz rakhna nifaq ki nishani hai, kyu ke unse wahi nafrat karega Jo ansaar ki qurbani aur Deen ki khidmat ko nahi samajhta hoga, Aisa dil nabi ï·º aur Islam se sachi mohabbat nahi kar sakta kyu ke usme ansar ki Deen ki khatir di gai qurbani ko nahi samjha.
Ek hadees me ata hai: munafiq ansaar se Mohabbat nahi karega, aur momin ansaar kabhi bugz nahi karega.
Sahih Muslim 74.
Note:
Is Hadees se hame ye pata chalta hai ke Musalmano ko Allah ke Deen ke liye hamesha qurban rahne ko tyar rahna chahiye, aur dusro ki madad Dilo jaan se zyada karni chahiye,
Dil me kisi bhi musalman ke khilaf bugz nahi rakhna chahiye aur na usse nafrat karni chahiye, aur jaisa ke Allah ne farmaya hai ke Allah unse razi hua jo muhajir, aur ansaar ke naksh-e-kadam par chale, to wo log Allah ke Deen par mazbooti ke saath kayam rahe. Isi tarah Allah ki Raza hasil karne ke liye hame bhi Allah ke Deen par mukammal Chalna chahiye.